Kuchh Keh Diya Hai



Kuchh Keh Diya hai, kuchh kehna hai baaki,

Kuchh likh diya or kuchh likhna hai baaki,

Ek pal me hi kaise samet lu zindagi ka safar,

Kuchh to jee liya hai, kuchh jeena hai baaki

ucswami@
Showing posts with label Dil Ki Sadaa. Show all posts
Showing posts with label Dil Ki Sadaa. Show all posts

Nov 30, 2011

Want to see you again...!!!


My mind is not in my control,
                            After seeing you at first time,
My heart says something to me,
                            That you look like a Devinne.
After seeing you at first time,


Din't get what does this mean.
                            Is this the Love at First sight?
I feel u everywhere around me,
                            And think about u all Day & Night,
After seeing you at first time,


Want to meet you once again,
                            Would u like to have a date,
Want to ask you,who you are.?
                            Why do I feel u as my Soulmate,
After seeing you at first time.


written by: ucswami 'bairagi' 
http://kuchhkhyaal.blogspot.com/

Feb 3, 2011

ये खता कर रहा हु ,,

इस नाकाम  मोहब्बत  में  ये खता  कर रहा  हु ,
मैं  आज भी उस  बेवफा  से  वफ़ा  कर  रहा हु ,
हमने  तो  जीना  सीख  लिया  इन्ही  गमो  के सहारे ,
बस  खुश रहे वो सदा, यही दिल से दुआ कर रहा हु ,
इस नाकाम  मोहब्बत  में  ये खता  कर रहा  हु ,

मान लिया  था हमने जिसे  इस  ज़िन्दगी का हमसफ़र ,
हम कर चुके थे  अपनी हर ख़ुशी  उसको ही नज़र ,
फिर क्यों आज वो हमसे यु नज़रे  चुरा रहा  है ,
उसके चले जाने का  खुद यकीं  नहीं कर पा रहा हु ,
इस नाकाम  मोहब्बत  में  ये खता  कर रहा  हु ,

  
written by: umesh 'bairagi' 
http://kuchhkhyaal.blogspot.com/

Sep 9, 2010

Bichhde yaar ko roye,,,

Jane kyon dil Bichhde huye yaar ko roye,
Din ko dil bechain, raat me aankh na soye,
Ek ankaha sa dard mano de gaya hai koi,
Rehne lage hai ab to khud me hi khoye,,
Jane kyon dil Bichhde huye yaar ko roye,

Bin uske ab jeena mera bemaani sa hua,
Sapno sa jeevan, ek berang kahani hua,
Har dastak uske aane ki aahat lagti hai,
Kyon hum kisi ke liye, khud se begane hoye.
Jane kyon dil Bichhde huye yaar ko roye,

written by: umesh 'bairagi' 
http://kuchhkhyaal.blogspot.com/

Jul 20, 2010

Haal kuchh aisa hua....!

Haal kuchh aajkal mera aisa hua hai,,
Jabse wo yu humse juda hua hai...
Na malum kya khata ho gayi hai hamse,
Jo wo is kadar humse bewafa hua hai.
Haal kuchh aajkal mera aisa hua hai,,


Shayad humne hi na jana tha ki pyar kya hai,
Or Dilbar ki wafao ka aitbaar kya hai,
Ek kasak si uthati hai dil me unke bina,
Ki jaise ab to ye jeena hi duswar hua hai,
Haal kuchh aajkal mera aisa hua hai,,


written by: umesh 'bairagi' 
http://kuchhkhyaal.blogspot.com/

Jun 10, 2010

Guzre Huye Kal




Guzre huye kal ki jab bhi kabhi yaad aati hai,
Kuchh ankahe jazbaat se aankhen bhar aati hai,
 

Mano sab thehar sa gaya, kuchh pal ke liye
 

Unki har yaad , unke kami ka ehsaas dilati hai,
Guzre huye kal ki jab bhi kabhi yaad aati hai,

 



Dekha tha jo khwaab, wo tinke sa bikhar gaya,
Basaya tha dil me jise, jane wo kidhar gaya,
 

Ab to sirf khamoshi hai, or dhundhle se saye ,
 

Jane kismat kaise kaise rang dikhati hai,
Guzre huye kal ki jab bhi kabhi yaad aati hai,

 
 written by: umesh 'bairagi'
http://kuchhkhyaal.blogspot.com/

May 30, 2010

Berang Hai Sab Kuchh


Berang  ho gayi hai ye tasveer,
Ise apni chahat ka rang de jao,,
Hota nahi ab or intezaar, Hume
Is safar  apna sang de jao,,
Nahi sambhalta sambhale se dil,
Aake is dil ki tadap to mitao,,
Veerani si hai dil ke aangan me,
Apni saanso ki mehak se saja jao,,
Berang  ho gayi hai ye tasveer,
Ise apni chahat ka rang de jao,,


Dil ki Bechain dhadkano ko 
tumhare aane se hi karaar aayegaa,,
Yaad me barsati Namm aankhon 
ko tumhara deedar hi sehlayega,,
Ek aahat se machal jata hai dil, 
ki shayad ab khatm ho intezar,,
Tumhare bin ye jism adhura hai, 
kahi se bhi aake is pura kar jao,,
Berang  ho gayi hai ye tasveer, 
Ise apni chahat ka rang de jao,,



written by: umesh 'bairagi' 
http://kuchhkhyaal.blogspot.com/

May 20, 2010

Koi Tadap Baki Na Rahe


Itna bhi na tadpao ki fir koi tadap baki na rahe,
            Aise na bhulao hume ki koi chaahat baki na rahe,
Tumhari judai me ek ek pal sadiyo sa lagta hai,
           Ab chale aao kahi ye zindagi hi baki na rahe,
Itna bhi na tadpao ki fir koi tadap baki na rahe,


Zindagi tum bin veerano me kahi kho si gayi hai,
          Dil ki har hasrat tumhari yaado me so si gayi hai,
Har saans is jism me ek bojh si lagati hai ab,
         Tumhare bin chahe ye saans hi baki na rahe,
Itna bhi na tadpao ki fir koi tadap baki na rahe,

Written By: ucswami 
http://kuchhkhyaal.blogspot.com/

May 10, 2010

Ruswaa Kiya


  
 Usne hume kuchh is kadar ruswaa kiya,,
Mano bhari mehfil ke beech tanhaa kiya,
Jab humse yuhi muh modnaa tha use,
To fir kyon ye adhura sa khwaab diyaa,
 
Usne hume kuchh is kadar ruswaa kiya,,

Khyaalon me aaj bhi uska hi sharoor hai,
Bhula na paye use, chahat ne itna majboor hai,
Kitna pagal tha, jo unki nadani ko pyar samjha,
Ek pal me chaha, or ek pal me thukra diya,
 
Usne hume kuchh is kadar ruswaa kiya,,


Written By: ucswami
http://ucswaami.blogspot.com/

Jane Kyon..


 Wo kuchh yu humse juda ho gaye,jane kyon
Ek pal me wo bewafa ho gaye , jane kyon
 

Yakeen nahi abhi tak bhi unke u chale jaane ka,
 

Aaj bhi unke wapas aane ka intezar h, jane kyon,
Wo kuchh yu humse juda ho gaye,jane kyon,


Humne chaha tha jisko sabse jayada is zamane se,
Wo yu hi thukra ke chala gaya ek bahane se,

Unke har andaaz se humne pyaar kiya tha,,

Par usi pyaar ne hume itna rulaya  , jane kyon,
Wo kuchh yu humse juda ho gaye,jane kyon,

Written By: ucswami
http://ucswaami.blogspot.com/

May 4, 2010

Naam Rakha tha Zindagi



Bade armaan se naam rakhaa tha uska zindagi,
Khuda se bhi jayada karte the jiski bandagi,
Ek pal me tut ke bikhar gaya wo sab kuchh,,
Ab to naa armaan hai, na rahi wo zindagi,
Kyo armaan se naam rakhaa tha uska zindagi,


Badi khwahisho se basaya tha 
chahat ka jahan,
Kyo hume safar me chhod 
gaye yu Tanhaa,
Yakeen nahi ho raha hai, uske yu chale jane ka
Aaj bhi khuda se pehle karte 
hai jiski bandagi,
Ek armaan se naam rakhaa 
tha jiska zindagi,



Written By: ucswami
http://kuchhkhyaal.blogspot.com/

May 3, 2010

Ek Chaand Ko Chaha

Ek chaand ko chaha tha kisi bahane se,
Ek chaand ko dekhte hai kai jamaane se,
Na us chaand ko pa sake, or ab kahi ye bhi,
Isiliye dar lagta Amaavas ke aane se,
Ek chaand ko chaha tha kisi bahane se,

Aisa kya maang liya tha maine khuda se,,
Jo paas hoke bhi wo lagte the judaa se, 
Bas unka ek ehsaas hi baaki hai ab to
Fir kyon muh fer gaye wo is Diwane se,
Jis chaand ko chaha tha kisi bahane se,

Written By: ucswami 
http://kuchhkhyaal.blogspot.com/

Apr 25, 2010

Dhalti Huyi Shaam


Ye dhalti huyi shaam jane kuchh keh jati hai,
Unse duriyon  ka ehsaas or jagati hai,
Sadiyon si lambi lagti hai ye sham ki tanhai,
Har shaam unke naa aane ka hi paigam lati hai.
 
Ye dhalti huyi shaam jane kuchh keh jati hai,

Gujarne wala har ek pal ek yaad banata hai,
Un yaadon ke saaye me, koi apna ghar sajata hai,
Par ye yaad to sham ki tarah, aati hai, chali jati hai,
Jaate huye hume fir se tanhaiyo me chhod jati hai,
 
Ye dhalti huyi shaam jane kuchh keh jati hai,


Written By: ucswami 
http://kuchhkhyaal.blogspot.com/

Apr 9, 2010

Ek Khwaish Hai is Dil Me


Badi muddat se ek khwaish hai is dil me,
Kabhi to koi apna sa lage is mehfil me,,
Dekhe to har chehara jana hua sa lagta hai,
Fir Kise begaana kahe, hai isi muskil me,
Badi muddat se ek khwaish hai is dil me,

Hume bhi mila tha koi ajnabi, apna bankar,
Ek pal toot gaya wo jaise koi sapna bankar,
Ab apne bhi lagte kuchh ajnabi se mujhko,
Jaane kidhar jaa raha hu is anjaani Manjil me,
Badi muddat se ek khwaish hai is dil me,

Kuchh pal or karna chahta hu unka intezaar,
Shayad anjaano me ho jaaye unka deedar,
Ek aakhiri koshish hai  is Deewane ki,
Bas ab to aajao kahi se is dil me,,
Badi muddat se ek khwaish hai is dil me,



Written By: Umesh (ucswami)

Apr 6, 2010

Chand Raton ki Tanhaiyaa



Chand raton ki tanhaiyon ne itna rulayaa hai,
Apne khwaab, chain, shakun, sab gavayaa hai
Meri is chahat ka alam to dekhiye
Wo or yaad aaye, jitna bhi unhe bhulaya hai,
Chand raton ki tanhaiyon ne itna rulayaa hai,

Kitna roye hai in raaton ki gehraiyon me,
Jab jab wo yaad aaye aisi tanhaiyon me,
Jaane wo kaha gayaa hume yu tanha chhod ,
Dhundhte hai unhe apni hi parchhaiyon me

Is raat ki chandani me jalne lagte hai Zazbaat,
Jaise payaar me mili ho Virah ki ye saugaat
Kuchh yu gujaar rahe hai, yaadon ka ye safar,
Kaisi ye duri hai, ki har aansuo me unhe paya hai,
Chand raton ki tanhaiyon ne itna rulayaa hai,

Written by: Umesh(ucswami)

Mar 31, 2010

Teri Parchhaiyaa Hai

Mana ki ab charo taraf Tanhaiyaa hai,
Fir bhi sang mere teri Parchhaiyaa hai,,
Kash ki chhu pauu tumhari dhadkano ko,
Sang mere jo ye teri Parchhaiyaa hai,

Darr lagta hai ab to ujaale me jaane se,
Kahi kho naa du tumhe kisi bahaane se,
Meri rooh me samaye huye ho tum,
Jo bhi h, sab aapki Meharbaniyaa hai,
Sang mere jo ye teri Parchhaiyaa hai,

In parchhaiyo me hi ab mera vajood hai,
Yahi bas meri chahat ka saboot hai,
Koi khayal nahi ab to tumhaare siwa,,
Sang mere jo ye teri Parchhaiyaa hai,


Written By: Umesh Chand(ucswami)

Mar 19, 2010

Ye Aankhe,,Wo Aankhe




Uski ek yaad bhar se chhalak aati ye aankhe,
Aaj bhi uske liye bekraar nazar aati ye aankhe,!
 
Dil to humne lagaaya, fir kyo tadapti ye aankhe,
Unke ek didar ko is kadar tarasti ye aankhe,!

Aankho ki baaten hi bas samjhati ye aankhe,
Kajrari si, jheel ke jaise machalti wo aankhe,!
 

Har pal ek nayi ada se badalti wo aankhe,,
Ek allhadd jawani jaise khilti wo aankhe,!

Zamane ki bheed me kaha kho gayi wo aankhe,
Kin anjaane se khwaabo me so gayi wo aankhe,!
 
Unke intezar me jaane kitna ro gayi ye aankhe,
Ab unke intezar me, band ho chali ye aankhe,!


Umesh Chand Swami

Mar 4, 2010

Wo Kaun hai...Koi

Wo juda huye to lagaa, jaise zindagi chura raha h koi
Bas ek khyaal se dil ki bechaini badhaa raha hai koi,,
 

Kya kahe unse bichhadane ka alam kya tha ,,
Lagaa maano sapno ki geheri neend se jagaa raha h koi,

 


Aaj bhi dil ko yakeen nahi, unke yu chale jaane ka,
Kuchh to khyaal kiya hota apne is diwaane ka,
 

Isi deewangi me halchal macha raha h koi,
Wo adhuri si payaas or badha raha h koi,,,

 


Koi Gila nahi, ki wo is kadar mujhe chhod gaya,
Wo na sahi. par kuchh yaado ka nata to mujhse jod gaya,
 

Ab to Dhundhli si tasveero se dhool uda raha hai koi,
Wo juda huye to lagaa, jaise zindagi chura raha h koi
 
Frm: Umesh Chand