Berang ho gayi hai ye tasveer,
Ise apni chahat ka rang de jao,,
Hota nahi ab or intezaar, Hume
Is safar apna sang de jao,,
Nahi sambhalta sambhale se dil,
Aake is dil ki tadap to mitao,,
Veerani si hai dil ke aangan me,
Apni saanso ki mehak se saja jao,,
Berang ho gayi hai ye tasveer,
Ise apni chahat ka rang de jao,,
Dil ki Bechain dhadkano ko
tumhare aane se hi karaar aayegaa,,
Yaad me barsati Namm aankhon
ko tumhara deedar hi sehlayega,,
Ek aahat se machal jata hai dil,
ki shayad ab khatm ho intezar,,
Tumhare bin ye jism adhura hai,
kahi se bhi aake is pura kar jao,,
Berang ho gayi hai ye tasveer,
Ise apni chahat ka rang de jao,,
written by: umesh 'bairagi'
http://kuchhkhyaal.blogspot.com/
ae
ReplyDeletereally its too gud n exlnt...
vryyyyyy guddddd
keep it up...
ye es trh ki(sad pic) pic choose krne ki koi khas vjh...
i wnt to know dis,pls tell
thanx for the comments....
ReplyDeleteye pic to maine aise hi dekhi...thi
fir isse dekhne ke baad hi maine ye blog likha......hai ji
means is pic par hi based meri ye lines