Kuchh Keh Diya Hai



Kuchh Keh Diya hai, kuchh kehna hai baaki,

Kuchh likh diya or kuchh likhna hai baaki,

Ek pal me hi kaise samet lu zindagi ka safar,

Kuchh to jee liya hai, kuchh jeena hai baaki

ucswami@

May 20, 2010

Koi Tadap Baki Na Rahe


Itna bhi na tadpao ki fir koi tadap baki na rahe,
            Aise na bhulao hume ki koi chaahat baki na rahe,
Tumhari judai me ek ek pal sadiyo sa lagta hai,
           Ab chale aao kahi ye zindagi hi baki na rahe,
Itna bhi na tadpao ki fir koi tadap baki na rahe,


Zindagi tum bin veerano me kahi kho si gayi hai,
          Dil ki har hasrat tumhari yaado me so si gayi hai,
Har saans is jism me ek bojh si lagati hai ab,
         Tumhare bin chahe ye saans hi baki na rahe,
Itna bhi na tadpao ki fir koi tadap baki na rahe,

Written By: ucswami 
http://kuchhkhyaal.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment