Kuchh Keh Diya Hai



Kuchh Keh Diya hai, kuchh kehna hai baaki,

Kuchh likh diya or kuchh likhna hai baaki,

Ek pal me hi kaise samet lu zindagi ka safar,

Kuchh to jee liya hai, kuchh jeena hai baaki

ucswami@

Sep 4, 2011

Bahut yaad aati ho...


  Kabhi- kabhi tum mujhe bahut yaad aati ho,,
Kabhi lagti ho apni si Kabhi parai ban jati ho,,
Kabhi khilti subah kabhi suhani sham nazar aati ho,,
Par Kabhi kabhi tum mujhe bahut yaad aati ho,,


Kabhi lage paas to kabhi dur chali jati ho,,
Kabhi meri hansi or kabhi aansu ban jati ho,,
Kabhi sabkuchh fir kabhi kuch hi reh jati ho,,
Par Kabhi kabhi tum mujhe bahut yaad aati ho,,


written by: ucswami 'bairagi' 
http://kuchhkhyaal.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment