Kuchh Keh Diya Hai



Kuchh Keh Diya hai, kuchh kehna hai baaki,

Kuchh likh diya or kuchh likhna hai baaki,

Ek pal me hi kaise samet lu zindagi ka safar,

Kuchh to jee liya hai, kuchh jeena hai baaki

ucswami@

May 9, 2010

You Are Beautiful

Unke chehre ki nazakat ki jab ho baat shuru,
Samajh na aye nazraane me pesh kya saugaat karu,
Bas unhe koi dekhe to dekhta hi reh jaaye,
Ab tum hi batao, unke baare me kya baat karu,
Unke chehre ki nazakat ki jab ho baat shuru,

Wo  ek nazar me madhosh karne wali nigaah,
Jinme simta hua ho jaise  pyaar, bepanaah
Ye chandi sa ujjwal badan, kisne banaya,,
Bas har pal Khuda se yahi mai sawalaat karu,
Unke chehre ki nazakat ki jab ho baat shuru,

To kya hua agar unse nahi milna hua ab tak,
Hum unhe apne shabdo me baya karenge tab tak,
Apni ye kuchh lines unki saadgi ke naam karte hai,
Ab to dil karta hai ki unse jald hi mulakaat karu
Unke chehre ki nazakat ki jab ho baat shuru,


Written By: ucswami
http://ucswaami.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment