Aaj bhi ladki ka janam lena, samaaj me itna bemaani kyo hai,
Jiske aanchal me hai doodh, fir aankho me ye paani kyo hai,
Kab jagegi ye male dominated society malum nahi,
Agar nahi to Itihas me aaj bhi dohraai jaati unki kahani kyo hai,,!
From birth to death, wo Sneh or tyag ki ek misaal hai,
Fir kyon uske naam par bewajah ke hote ye bawaal hai,,,
Kahi par unki asuraksha, to kahi aarakshan ki bahas,
Kab janenge hum sach,or kab suljhenge ye jo sawaal hai,,!
Ek roop h MAA, jiski mamta se insaan ki jindagi panpati hai,
Uske aanchal ki chhav me har khusi barasti hai,,
Apna har sukh bhula deti hai hamaari ek hansi ke liye,
bhala kaise aaj unko bhula kar ye jindagi gujarti hai,,!
Ek Behan ke rishte ko kin shabdo me bayaan karen,,
Bhai ki salamati ke liye hi wo har pal duaa karen,,
Mujhse pucho behan ki kami kya hai, jinki koi behan nahi,,
Fir kyo apne Bhaiyon ke beech wo Darte huye Jiya karen,,!
Aurat jo aadami ki jindagi ke naye maayne banati hai,
Isiliye shayad wo jeevan sangini kehlaati hai,,
Jo hamare liye apni har ichha or pehchaan bhulati hai,
Apni purani jado ko chhod, naye jeevan ke fool khilati hai,,!
Jara sochiye bina uske kaise jeevan rishto se judega,
Agar ab nahi jaana to, ek din bahut pachhtana padega,
Gum yahi hai ki, mai bhi isi samaaj ka ek hissa hu,
Ek naye kal ki aas mai ye sab kuchh likh rahaa hu !
Shayad isi se hamari soch me ek naya ankur Footega,
Sadiyo se chala aa raha ye silsila kabhi to tootega,,!

Salaame Aurat Frm: Umesh Chand
Written By: ucswami
http://ucswaami.blogspot.com/
Written By: ucswami
http://ucswaami.blogspot.com/
suparb bhai excilent,
ReplyDeleteits realy wonderful..
amit swami
its superb...
ReplyDeletei hv no wrding fr dis
apne jo likha h the best h