Zindagi to jaise bas chalne ka hi naam hai,
Kabhi lage raasta, kabhi na khatam hone wala makaam hai
Ek manjil paaane ke baad, or naye raaste nikalte hai,
Jin par chalet huye, kabhi hm girte or kabhi sambhalte hai.
Par chalna to hai, isiliye bas chal nikalte hai.
Kyonki Zindagi to jaise bas chalne ka hi naam hai,
Kabhi lage din ka ujaala, or kabhi Dhalti huyi Shaam hai.
Fir kyon hume zindagi se itni shikaayat hoti hai,,
Jabki hum to sab paate hai, or Zindagi sab kuchh khoti hai,
Har lamha hum isi ke saaye me hi palte hai,
Shayad Zindagi isi tarah palne ka hi naam hai,
Kuchh lamho ki fursat, or fir wohi kisse tamaam hai.
Zindagi to jaise bas chalne ka hi naam hai,
Bas UC ne itna hi jana, baaki janana to ab aapka kaam.
Written By: ucswami
http://ucswaami.blogspot.com/
http://ucswaami.blogspot.com/
No comments:
Post a Comment